samundar ke kinare chandni raaton mein baitha un hasin shamon ko akasr yaad karta hun wo shamen jab wo mere sath hoti thi samundar ki nihayat shokh lahron mein ikatthe hum bhi patthar phenkte the aur phir hum khilkhila kar hans dete the magar ab chandni raaton mein jab main sair ko jata hun tanhai ka kambal odh leta hun samundar ke kinare jab bhi gahri soch mein dubun udasi khamushi se pas aa kar baith jati hai mere kandhe pe hamdardi se apna hath rakhti hai wo kuchh kahti nahin lekin mujhe malum hai wo is faza aur meri aankhon ki nami mahsus karti hai nami jo muddaton ke baad bhi mujh ko bahut maghmum rakhti hai