nazar se aaj jo guzri hain chand taswiren wo dil pe naqsh hain jaise lahu ki tahriren basi hai jang-e-siranga-patam aankhon mein kisi shahid pe saya kiye hain shamshiren ghulam qaum tujhe kuchh haya bhi aati hai hain tere chand ye khak-afgani ki tadbiren tera charagh sar-e-sham bujh gaya lekin sahar ke bhes mein phailengi us ki tanwiren mere shahid tere na-e-pak se qaumen karengi aaya-e-hubb-e-watan ki tafsiren payam-e-sai-e-sar-afraazi-e-watan hai tu shahid-o-ghazi-o-jarrar-o-saf-shikan hai tu siyasat-e-watani ki faza thi zahr-alud hawa-e-gharb thi na-sazgar-o-na-masud sabah-e-daulat-e-taimuriya ki aai thi sham pada tha nayyar-e-iqbaal-e-hind sar-ba-sujud gulon ko loriyan deta tha e'tibar-e-bahaar chaman mein sabza-e-begana pa raha tha numud hai tere baad teri yaad iftikhar-e-watan tera mazar hai sham-e-sar-e-mazar-e-watan pukarti hain siranga-patam ki diwaren ki hum ko yaad hain wo goliyon ki bauchhaaren dahan kushada hain choton ke ghaw kya malum ye kab hamiyat-e-hubb-e-watan ko lalkaren shahid-e-zinda-e-jawed hain wahi sawant jo nam-e-pak-e-watan par laden maren maren is ek jaan-e-girami pe lakh jaan sadqe is ek maut pe sau umr-e-jawedan sadqe