khudaya ab ke ye kaisi bahaar aai khuda se kya gila bhai khuda to khair kis ne us ka aks-e-naqsh-e-pa dekha na dekha to bhi dekha aur dekha bhi to kya dekha magar tauba meri tauba ye insan bhi to aakhir ek tamasha hai ye jis ne pichhli tangon par khada hona bade jatanon se sikha hai abhi kal tak jab us ke abruon tak mu-e-pechan the abhi kal tak jab us ke hont mahrum-e-zanakhdan the rida-e-sad-zaman odhe larazta kanpta baitha zamir-e-sang se bas ek chingari ka talib tha magar ab to ye unchi mamtiyon wale jilau-khanon mein basta hai hamare hi labon se muskurahat chhin kar ab hum pe hansta hai khuda us ka khudai us ki har shai us ki hum kya hain chamakti motoron se udne wali dhul ka nachiz zarra hain hamari hi tarah jo paemal-e-satwat-e-amiri-o-shahi mein likhokha aabdida pa-piyaada dil-zada wamanda rahi hain jinhen nazron se gum hote hue raston ki gum-paima lakiron mein dikhai de rahi hain aane wali manzilon ki dhundli taswiren zarur ek roz badlega nizam-e-qismat-e-adam basegi ek nai duniya sajega ek naya aalam shabistan mein nai shamen gulistan mein naya mausam wo rut ai ham-nafas jaane kab aaegi wo fasl-e-der-ras jaane kab aaegi ye nau number ki bas jaane kab aaegi