dahliz par jo khwab tuta hai wo kal ka to nahin tha wo to na-jaane kitne salon se naniyon dadiyon ne alhad aankhon mein jaga rakkha tha ye jo diwar par lagi taswir achanak dhadam se niche gir gai hai ye kal hi to nahin tangi gai thi ye to us aaine mein salon se nazar aa rahi thi jo ladkiyan takiye ke niche is ummid par rakh kar soti thin ki is raat ke khwab mein un ke dulha ki shabih ubhregi ye jo taswir gir kar tut gai hai ye sadiyon ki shabih ko bhi tod gai hai ye jo kal dekhte hi dekhte aasman par ek baadal ka rang kala siyah pad gaya tha ye baadal sirf kal hi to nahin aasman par aaya tha ye collage ke aasman par nile rang mein na-jaane kitne salon se ruka hua tha ye jo kal mohabbat aur e'timad ki tahrir dekhte hi dekhte kaghaz se ghaeb ho gai wo sirf kal hi to nahin likhi gai thi na-jaane kab se mohabbat ki kahaniyan likhne wale use safhat par utar rahe the kal jo mere darwaze ke samne khadi sadak yakayak kahin aur mud gai aur phir nazron se ojhal ho gai ye saneha sirf kal ka to nahin us sadak ne to salon se rasta badalne aur ghaeb hone ki than rakhi thi khwab taswir tahrir baadal aur sadak un ke tutne aur badalne ki baat kal hi ki baat nahin hoti