asar anokha hua jab aastin ka button gir ke kho gaya jaanan tumhaari yaad ka sina hazar chaak hua wo ek nur ka dhaga dhyan mein aaya kasa hua sa koi tar saz ka jaise laga ke pech kai dil ko bandhne ki ada gulabi honton se ho kar guzarne wali dor tumhaare danton se kya pat se tut jati thi kushada aankhon ke goshon se sar ubalte the ab aise bansuri pe koi lab nahin rakhta tumhaari tarah button aur kaun tankega bas ek sans ki sui hai zakhm siti hai