dil-o-dimagh ko ro lunga aah kar lunga tumhaare ishq mein sab kuchh tabah kar lunga agar mujhe na milin tum tumhaare sar ki qasam main apni sari jawani tabah kar lunga mujhe jo dair-o-haram mein kahin jagah na mili tere khayal hi ko sajda-gah kar lunga jo tum se kar diya mahrum aasman ne mujhe main apni zindagi sarf-e-gunah kar lunga raqib se bhi milunga tumhaare hukm pe main jo ab talak na kiya tha ab aah kar lunga tumhaari yaad mein main kat dunga hashr se din tumhaare hijr mein raaten siyah kar lunga sawab ke liye ho jo gunah wo ain sawab khuda ke nam pe bhi ek gunah kar lunga harim-e-hazrat-e-salma ki samt jata hun hua na zabt to chupke se aah kar lunga ye nau-bahaar ye abru, hawa ye rang sharab chalo jo ho so ho ab to gunah kar lunga kisi hasine ke masum ishq mein 'akhtar' jawani kya hai main sab kuchh tabah kar lunga