ab kise chaaragar-e-dard kahen dard hota hai har ek aan siwa dard pahle bhi to hota tha bahut sakht aur aisa ki jaan ka dushman maut aane ke yaqin ka hamdam zinda rahne ke guman ka dushman lekin us dard ki kuchh aur thi baat dard uthta bhi hai dil mein ki nahin uthta hai hone pata hi na tha is ka kisi pal ehsas hone pata na tha ek aan ye ojhal ehsas ki jo begane hon dukh ko na samajhne wale un se dukh-dard na paenge to kya paenge lekin ab koi bhi begana nahin aur is baat ka dukh hota hai har aan bahut aur dil hota hai rah rah ke pareshan bahut ki nazar aate hain yun zist ke saman bahut aur phir zist ke saman yakayak dekhte hi dekhte ho jate hain patthar kyunkar yun nazar aate to hain zist ke saman bahut phir bhi jine se hai bezar har ek jaan bahut aur ab koi bhi begana nahin dard hota hai har ek aan siwa ab kise chaaragar-e-dard kahen