darmiyan-e-washington ek safed building hai jis mein ek jadugar odh kar ajab topi surkh aur kuchh nili shoabde dikhata hai us ke ek ishaare par sab gharib mulkon ke sarbarah aate hain sar jhukae jo apne mulk ke gharibon ki izzat-o-ana us ki surkh nili topi mein kapkapate hathon se aise dal jate hain jaise ek madari ke dugdugi bajaane par us ka paltu bandar nach kar dikhata hai apna sar jhukata hai us safed building ke samne bahut se log aaj mahw-e-hairat hain farq sirf itna hai log is imarat ko dekh kar bahut khush hain aur main ki sharminda us safed building mein qaid apni khuddari dekh kar fasurda hun mujh ko aisa lagta hai apne rahnumaon ki tarah main bhi murda hun