mit jaen mulk se bughz-o-hasad aur dil mein watan ki izzat ho daman mein fazaon ke har ja ek amn-o-sukun ki sarwat ho sine hon pak kudurat se har lab par naghma-e-ulfat ho firdaus-e-barin ka namuna phir duniya mein pyara bhaarat ho ulfat ka sar mein sauda hai jazbaat ka tufan barpa hai ghar ghar mein prem ki ganga ho shair ke dil ki tamanna hai ai bhaarat mata lal tere is daur-e-khizan mein sambhal jaen sanche mein prem aur uns ke ab sab hindu muslim dhal jaen naghmon se sachchi mohabbat ke duniya ki fazaen badal jaen ye manzar dekh ke ulfat ke aansu aankhon se nikal jaen ulfat ka sar mein sauda hai jazbaat ka tufan barpa hai ghar ghar mein prem ki ganga ho shair ke dil ki tamanna hai wo mulk hai duniya se achchha jo rashk-e-jinan kahlata hai aaram-o-rahat ki chizen sab jis mein insan pata hai ai murli-dhar ki janm-bhumi tu sare sukhon ki data hai hum teri aan pe marte hain to pyari bhaarat-mata hai ulfat ka sair mein sauda hai jazbaat ka tufan barpa hai ghar ghar mein prem ki ganga ho shair ke dil ki tamanna hai bhar bhar ke jam-e-mohabbat ke mai-khana-dahr mein khub piyen gokul mein nand ka lala ho murli ki pyari ter sunen wo naghme hawaon mein gaunjin sote hue jazbe jag uthen ujdi hui basti ko dil ki yun ahl-e-watan aabaad karen ulfat ka sar mein sauda hai jazbaat ka tufan barpa hai ghar ghar mein prem ki ganga ho shair ke dil ki tamanna hai har shakhs ho wajd ke aalam mein ek dilkash rag labon par ho ruhani naghme sun sun kar bedar bashar ka muqaddar ho aankhon ke samne duniya mein ek sachche prem ka manzar ho ek uns-o-mohabbat ka aalam aalam mein aaj sarasar ho ulfat ka sar mein sauda hai jazbaat ka tufan barpa hai ghar ghar mein prem ki ganga ho shair ke dil ki tamanna hai jalwon se husn-e-azal ke ab sab khurd-o-kalan pur-nur rahen mai pi ke ishq-e-haqiqi ki ulfat ke nashe mein chur rahen duniya mein rah kar duniya ke jhagdon se koson dur rahen hum pyare kirshn ki bhagti mein sarshaar rahen masrur rahen ulfat ka sair mein sauda hai jazbaat ka tufan barpa hai ghar ghar mein prem ki ganga ho shair ke dil ki tamanna hai