main chait ka phul hun aur aakif hun mitti ke niche ye chila-kashi hai kisi aur haiat mein dhalne ki chaalis raaton ka chala hai bhaari kinaron ka tilla hai dariya se udti hawa apni lahron-bhari shaal phailae budha falak thode aansu bahae siyah abr palkon ki jhaalar uthae chamakti hui dhup aakhir mein aae mutalla badan ko bichhae pahadon ke qadmon se lambe samundar ki wusat-bhari sarhadon tak! zamin ek badi sip hai bich barish ka wahdaniyat se labaalab bhara ek qatra hai jo sip mein girta hai aur moti mein dhalta hai harfon ke kaun aise jumle banata hai jumle mein ek code ki tarah mani chhupata hai ashre guzarte hain ek nasl aati hai mani ko jumle ki zanjir se aa ke aazad karti hai mani-bhare chait ka phul hai chait ke phul ka aur teri ungliyon ka hazaron baras ka purana talluq hai main chait ka phul hun aur muallaq pada hun kisi darmiyani zamane mein pahunchunga barfile raste se hota khunuk rut mein khushbu bhare phul ki mithi mutthi ki tahwil se hota apne abad se purane thikane mein!!