is ek sal mein kitne sal guzarenge hum har ek din, ek sal misal har ek din ki subh ka suraj harf-e-sawal har ek din ki jhulsi hui aur bhigi hui dopahr zawal har ek din ki, har ek sham sham-e-jamal har ek sham ki raat kamal wasl ke har ek lamhe mein hain jaise sadiyan ghuli hui hijr ke har lamhe mein jaise halki aanch pe ret ki dhadyan bhuni hui sine mein har dhadkan, jaise cholastani unt ki gardan mein hon taliyan bandhi hui aankhon ki do jhilon mein hain kanwal malal ke khile hue hont aapas mein mile hue hichkiyon mein hain bandhe hue sans ki phans hai sale suraj ke sine mein gadi hui chand haram-udahar, samundar goth ke andar barfon barfon dhansa hua din aur raat bhi nang-dhadange ek duje se lage hue un ke panw-tale mitti hai aur na sar par topi hai waqt aane wale barson ke khala mein chalta jata hai ye ek sal mohabbat ka thame hue din raat ke nange-pan par jamta jata hai