main khizan mein giraftar hun dekho khwabida maujon kharidar ruhon umadte simatte zamanon se arz-o-sama ki siyahi ka daman nichoda hai lekin hawaon ke wahm-o-guman mein nahin kaun si khak se qatra-e-ab tabinda-moti ki aaghosh leta hai khwahish se bahar na aaun meri ibtida intiha aaj samundar ki silwat mein tabindagi hai samundar ko pighla bata mere sine mein kis kis ki aawaz hai khet mein baghban mar chuka hai zamin khun-chakan hai sitare nahin hain faqat saeban hai