unche makanon ki diwaron par hari bhari phulon ki bel surmai baadalon ke ghunghat se meri chhoti khidki ki taraf dekhti hai persuaders tw par film chal rahi hai main kis ke taaqub mein apni taraf bhag rahi hun main kolhu ka bail hun roz ek daera apne ird-gird khinchti hun aur is daere ke aage ek aur daera phir ek aur yun aage hi aage daere hi daere zindagi ka safar daeron se likha gaya subah dopahar sham aansu ki roti dukh ka salan aur sard aahon ka pani barsaton ki shamen nirmal komal dil ko yun dahlati hain jaise aatish-dan ki qarib soi billi an-jaane qadmon se chaunk jae ye bhi ek daera hai is daere ke andar hamare hathiyar zamin par padte hain aur hum hath uthae aasmani aawaz par aage hi aage be-samt chalte ja rahe hain daere bante ja rahe hain