ye sach hai tum jahan ho wo jagah jannat ki manind hai wahan ke nuqrai din mein diwali jaisi raaten hain sunahri zindagi ka lamha lamha jagmagata hai magar shayad kisi pal ke kisi nanhe se lamhe mein agar chhu kar guzar jae tumhein mamta ka ek jhonka agar man ki mohabbat ashk ban kar aankh chhalkae guzishta sath guzri saaton ki yaad aa jae to phir beto tum apne des laut aana ki jab bhi sham dhalti hai to sab udte parinde laut aate hain thake dahqan apni bastiyon ki samt aate hain musafir laut aate hain gharaunde jagmagate hain suno beto agar in wapsi ke istiaron ka koi pahlu tumhein bhi muzmahil kar de to phir tum bhi palat aane ka koi rasta imkan mein rakhna ki man ki muntazar raste ki takti chashm-e-pur-nam dhyan rakhna