chale bhi aao

wo muntazir hain kisi ki aankhen
wo raat dhalne ko aa gai hai

wo chand maddham sa lag raha hai
sitare be-nur ho rahe hain

sawera angdai le raha hai
kisi ki bahen pukarti hain

chale bhi aao chale bhi aao
wo tab hum mein kahan hai baqi

ki furqaton ke azab jhelen
wo hausle aur wo walwale sab

bikhar rahe hain bikhar rahe hain
tamam ehsas mar rahe hain

ab is se pahle ki maut aae
chale bhi aao chale bhi aao

wahi ghamon ka hujum phir hai
wahi hai mausam judaiyon ka

wahi hai tira-shabi ka manzar
wahi sisakti si aarzu hai

ki phir wo pahli si zindagi se
sahaara bahon ka phir se de do

chale bhi aao chale bhi aao
hai khushk patton si apni haalat

hawa ke rahm-o-karam pe hain hum
na hum ko rahon ka kuchh pata hai

na manzilon ki khabar hai hum ko
kahan kahan hum liye phirenge

uthae is zindagi ka lasha
chalao nazron se tir hum par

hamein ajal ki ghiza bana do
chale bhi aao chale bhi aao


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close