chalo hum man lete hain bichhadna hi zaruri hai chalo hum man lete hain muqaddar mein hi duri hai chalo hum man lete hain tumhaari jo hai majburi chalo hum man lete hain mile hum der se tum se chalo mana ki bandhe hai rasan haalat ki tum ko chalo mana judai ke siwa chaara nahin koi magar itna bata do bas juda hone se ai hamdam talluq tut jaega hamein tum bhul jaoge mohabbat aur rifaqat ke wo sare din wo sab lamhe tumhaare zehn aur dil se nikal jaenge mumkin hai agar mumkin nahin hai to juda hone ka kya matlab bichhad jaane ka gham kaisa ye nale aur fughan kyun hain hum itne be-karan kyun hain