chaman mein hum ne dekhe hain bahut hi khubsurat phul alag rangat bhi hai un ki juda khushbu bhi hai un ki hawa chalti hai jab bhi to sabhi phulon ko aapas mein gale milte hi dekha hai sada hanste hi dekha hai kabhi ladte nahin dekha hamara mulk bhi 'mina' chaman ke hi to jaisa hai sabhi mazhab yahan par hain zabanen bhi bahut si hain magar hum log ladte hain jalan aapas mein rakhte hain mohabbat kyun nahin karte chalo ab sari nafrat ko jalan ko aur adawat ko mitane ki qasam khaen dilon mein prem dipak phir jalane ki qasam khaen mohabbat aur ukhuwwat ke sharafat ke sadaqat ke sabaq sab ko sikhaen hum gale sab ko lagaen hum sabhi dharmon ke logo ko sikhaen kya hai yak-jehti ye sapna to hamara hai ye sab sakar ho jae hamara pyar jo dekhe use bhi pyar ho jae hamari ab ye koshish ho har insan ho saman jaisa hamari ab ye koshish ho watan bhi ho chaman jaisa