ai mera nam o nasab puchhne wale sun le mere ajdad ki qabron ke purane katbe jin ki tahrir mah o sal ke fitnon ki naqib jin ki bosida silen sim-zada shor-zada aur aaseb zamane ki rahe jin ka nasib pusht-dar-pusht bila fasl wo ajdad mere apne aaqaon ki mansha thi mashiyyat un ki gar wo zinda the to zindon mein wo shamil kab the aur marne pe faqat bojh thi mayyat un ki jin ko maktab se lagao tha na maqtal ki khabar jo na zalim the na zalim ke muqabil aae jin ki masnad pe nazar thi na hi zindan ka safar ai mera nam o nasab puchhne wale sun le aise be-dam ghulamon ki nishani main hun