parinda to nahin hun phir bhi shahpar ka azab apne tawafon mein samete bun raha hun hindisa be-khwab raaton ka ki na-bina jahanon mein basarat ko samaat mein piro kar jagta hun main badan ko daeron ki zad pe kho kar jagta hun main mere chehre mein dozakh ke shararon ka basera hai meri aawaz ne apni umudi gunj phaila kar tumhaare gumbad o mehrab ki tanhai todi hai parinda to nahin hun phir bhi la-yani paron ko taulta rahta hun ek be-nam gardish mein bikharti sham ki parchhain se ijad hai meri falak buniyaad hai meri izafi aasmanon mein muqayyad panw hain mere mere qadmon mein jannat hai