din bhar hai charcha kaam ka shab aur sharab-e-jaan-faza din bhar hain sari sakhtiyan shab aur huran-e-jinan ek ek sanche mein dhali ek ek patli qahr ki ghuncha-dahan aafat ada shokhi ghazab ghamza bala zahir mein saffaki bhari baatin mein ek jazb-e-khafi tewar se rukha-pan ayan andaz mein masti nihan palo kabhi wahshi hiran khud said par nawak fagan kyon kar na yaron ke bhala lab se yahi nikle sada baala ho ya pasti ghazab is taur ki hasti ghazab ai zindagi ai zindagi hain bar-awar tujh se hi bagh-e-tamanna ke shajar