zamane dhal gae haalat ki tahrir baqi hai purane husn ki tuti hui taswir baqi hai na wo shamshir baqi hai na wo tauqir baqi hai magar tarikh mein lipti hui tamir baqi hai faza-e-hast ke rahi maqam-e-bud par pahunche nuqush-e-rahguzar mein partaw-e-rahgir baqi hai jo shohrat aam thi pahle gai sadiyon ke madfan mein magar aasar mein simti hui tashhir baqi hai baqa ke khwab sare dhal gae khwab-e-musalsal mein ye un khwabon ki pathrai hui tabir baqi hai mazaq-e-am sarf-e-kam-nigahi hai to rahne do dil-e-shair ki aankhon mein abhi tanwir baqi hai tilai nuqrai jazbaat ke sanche mein dhalne ko rag-e-takhil par ek nashtar-e-tasir baqi hai ye buniyaadon ki gahrai ye diwaron ki bebaki jahan tamhid qaem hai wahin tamir baqi hai ye mazbuti ki angdai ye bal khati fasil-e-sang wahi ek aahani fitrat wahi zanjir baqi hai kamin-gahon ki peshani kanakhiyon se murassa hai tahaffuz ki kadi aankhon ki kuchh tasir baqi hai ye be-tartib patthar jhadiyan khadde ye hariyali kahin aaghosh-e-fitrat hai kahin tamir baqi hai sarishk-e-yaad na-mumkin sahi duniya ki aankhon mein zaban-e-haal par ek aalam-e-taqdir baqi hai ye khalwat-zar rumanon se wabasta rahe ya-rab ki tadbiron ki gardan par abhi taqdir baqi hai