abr-e-siyah ki farsuda wo chadar tarik rakhti kab tak ye manzar talat pe zulmat kya ghaalib aati khulte na kab tak fitrat ke jauhar daman ghata ka khud chaak karke dekho wo nikla mah-e-munawwar ye khas mazhar mahr-e-mubin ka kitna hasin hai allahu-akbar jo rup is ka wo rup us ka itna mushabah chehra hai kis ka mazhar jalali mazhar jamali donon ki surat hai bholi bhaali donon subuk-rawan ki rawish se zahir nahin hai aashufta haali tabinda un ke faiz-e-asar se bazm-e-khayali bazm-e-misali din is se taban raat is se raushan zarkar-e-sanad kab dekhi khali nazren hain un par husn-e-atam ki jalwon se us ke shan un ki chamki khubi se koi kab hai muarra qudrat ka shahid hai zarra zarra lekin hai un ki shan aur hi kuchh arz-o-sama ko hai un pe gharra aae gahan mein bhi ye to kya gham zat in ki zulmat se hai mubarra hain mere roz-o-shab un se dilkash hota hun un se khush roz-marra kahti hai ishrat meri nazar ki le lo balaen shams-o-qamar ki khush-kun jab un ka jah-o-hasham ho zauq-e-nazar phir kyon mera kam ho baaligh-nazar hon us se na kyon khush kul nuriyon ki zau jis mein zam ho hon dida-war kyon is se na shadan taron ka baqi jis se bharam ho un ki numud-e-zulmat-ruba par partaw-fagan jab nur-e-qadam ho ho chand maddham ya mand suraj chamkenge yunhi ye chand suraj