wo kahti hai mujhe tum se mohabbat hai ali mere ali tum se mohabbat hai wo sach kahti hai sach kahti rahi hai abad ki aakhiri shab tak wo sach kahti rahegi mujhe diwar par us ne wahan tanga hua hai jahan se dekh sakta hun zamin ke us taraf phaili ghaneri surmai tanhaiyan jo khud us ne kabhi tahrir ki hongi akeli sham ke khamosh honton par magar jab se wo khud apni khabar mein hai use diwar ki us dusri jaanib ki koi bhi khabar achchhi nahin lagti khabar ne us ko kaisa be-khabar rakha hua hai aur diwar ko diwar ke pichhe khadi tanhaiyon ki mustatar lambi zabanen chat kar kaghaz banane ka ilm mein hain main us kaghaz pe tab likhunga git apni rihai ka