karodon sal se tu dekhta hai duniya ko zamin ke bahr-o-bayaban ko dasht-o-dariya ko ye daur-e-sham-o-sahar waqt ka ye paimana ye inqalab-e-bahaar-o-khizan ka afsana ye saz-e-dahr teri anjuman ka ek naghma nawa-e-bazm-e-bashar is chaman ka ek naghma numud-e-madan-o-araish-e-nabaat hui teri hi aankhon ke aage jawan hayat hui inhi shuaon se chamka hai sina-e-alam hua hai matla-e-anwar dida-e-adam tere huzur dhadakta hai dil samundar ka damakne lagta hai chehra faza-e-bartar ka wo rah-rawan-e-adam qafile wo hasti ke guzarne wale musafir zamin ki basti ke samae aankhon mein aankhon se phir nihan bhi hue wo karwan sifat-e-gard-e-karwan bhi hue magar tu bazm-e-falak mein yunhi darakhshan hai ye teri mashal-e-taban hamesha taban hai teri nigahon mein rang-e-azal jhalakta hai abad ka jam tere hath mein chhalakta hai kabhi hilal kabhi surat-e-mah-e-kaamil hai tere raste mein irtiqa ki har manzil mushabah haal se tere hai haal qaumon ka uruj qaumon ka ya phir zawal qaumon ka ye zindagi bhi hai goya ki raushni teri nazar se chhupti hai lekin kabhi nahin bujhti agarche partaw-e-khurshid se hai nur tera hai qarz dam ka jam-e-mai-e-surur tera bulandiyon mein bhi tera koi maqam nahin nujum-e-charkh-e-barin ka tu ham-khiram nahin zamin ke pahlu mein tu ne magar jagah pai luta ke daulat-e-husn-o-mataa-e-ranai