guzishta raat pure chand ki shab thi pas-e-dahliz tum thin aur main na-khwasta qadmon se bahar ki taraf jate hue aankhon hi aankhon mein tumhein khud mein samota ja raha tha bhala kab tak ye manzar sath deta! 'khuda-hafiz' ke lamhe baad darwaza muqaffal ho chuka tha aur aankhon ki rasai se tumhaara jagmagata husn ojhal ho chuka tha (magar main band darwaze ki jaanib dekhna bhi ishq ke aadab ka hissa samajhta hun) udhar kamre ki chhat ke ain-upar, aasman par chaudhwin ka chand raushan tha tumhaari hi shabahat thi mujhe to yun laga jaise falak par bhi tumhaara husn hi mahtab ban kar jagmagata hai magar phir yun laga jaise ki ye mahtab ek chehra nahin ek aankh hai jis mein kisi ko dekhte rahne ki khwahish jhilmilati hai to ye jaana ki us kamre ki chhat ke ain-upar, aasman par main ne apni aankh rakh di