motor ke pahiye bijli ke khambe pe chand chhinte kuchh chikni sadak pe dur tak ek surkh si lakir footpath pe kuchh ja-ba-ja dhabbe siyah o surkh nali ke gadle pani ke sine pe chand dagh baundary-wall par bhi kuchh spot khurdure chehron pe rahgiron ke na-khush-gawar naqsh mahaul mein ek lamha ko be-nam sa tanaw aankhen meri ubal padin hairan rah gaya goya ki aaj tak ka kiya raegan gaya dariya agar nahin to rawan ju-e-khun sahi