har shakh-e-tamanna par meri har-chand ki barg-o-bar lage wo ped jo mere nam ka hai, har aankh ko saya-dar lage par, ek kami si rahti hai kuchh waqf-e-tabassum hont bhi hain, kuchh rasta takti aankhen bhi kuchh wo hain jin se milne ko be-tab hon meri banhen bhi par, ek khalish si rahti hai ye dad-o-sataish ke tamghe, kuchh sheron par, kuchh kaamon par aur itna istehqaq bhi jo hota hai subhon shamon par par, ek mahrumi rahti hai jo ek mahrumi, ek khalish jo ek kami si rahti hai wo ek kami, wo ek khalish, wo ek mahrumi tum hi to ho