chand ne jab raat ko aasman ke auj se arz par dali nazar to use tarikiyon mein gharq duniya par taras aaya bahut aur us ne arz par kuchh tod lane ka irada kar liya jab wo utra aasman se to muqaddar ne use latka diya ek salib-e-nakhl par aur duniya so rahi thi raat ki aaghosh mein chand ka kya haal hai puchhta koi nahin