tajraba-kar zehn to sab samajh jata hai zehn mein sochon ko band kar ke tala dal dun chaalak aankhen to sab kuchh tad leti hain in par la-ilmi ke shishe chadha dun apne hassas dil ko zara khatir mein na laun mazi ka tamam mushahida aur tajraba jo darj hai zehn par use mita dalun meri aql mere liye azab ban gai hai kash samajhdar na banun siski aur qahqaha main apne panw tale se jannat nikal kar badi khushi se tumhein saunpne ke liye tayyar hun main apne panw mein bandhi grihasti ki bediyon ko bas thoda sa dhila kar rahi hun ziyaada dur nahin jaungi ek qahqaha laga kar ek siski bhar kar ya ek nazm likh kar laut aaungi main aazad aurat hun lekin agar mere bachchon ke baalon mein likhen pad jaen un ki gardan par pasina mili mitti nazar aae mere khanon mein masalahon ki tartib gadbad ho jae bachchon ke home-work ki copy par not-done likha hua aa jae ghar aae mehmanon ko khush-amdid kahte hue ek cup chae bhi na pila sakun office se lautte hue thake hue shauhar se haal-ahwal bhi na puchhun to meri sansen ghutti hui aur qahqaha phati phati aankhen aur nazm adhura khwab lagti hai khuda ne nubuwwat ata karte hue imam banate hue puri qalandari ata karte hue mujh par e'tibar nahin kiya tha puri qaum ko aala nasl dene ki zimmedari faqat meri hai is aaali mansab par kaam karte karte main thak bhi to sakti hun meri ittifaqi rukhsat manzur ho chuki hai main ja rahi hun ek siski bharne ek qahqaha lagane aur ek nazm likhne ke liye chhutti akhlaqi taur par manzur hone ke bawajud ghar ki har chiz ko mujh se shikayat kyun hai bachchon ke chehre par ghussa dekh kar sochti hun qahqaha ayyashi aur siski ya aas hai aur nazm panw mein chubha hua kanch ka tukda hai meri man kahti hai tum mujh se achchhi man nahin ho tum ajab ho ghar shauhar aur bachchon ke alawa aur bhi kuchh chahti ho meri beti mere hath se qalam chhin kar kahti hai french-fry bana kar do main sochti hun meri beti ko bhi jab ek qahqahe nazm ya taswir ke liye apni zindagi ki tijori se kuchh pal darkar honge to main use kya mashwara dungi qahqaha bachpan ki bichhdi hui sakhi siski hathon se udta hua panchhi aur nazm gunah hai