wo dekho wo nikla chand amman tum ne dekha chand ye bhi kya bachcha hai amman chhota sa munna sa chand itna dubla itna patla kab hota hai aisa chand aman us din jo nikla tha wo tha gol bada sa chand baadal se hans hans kar us din kaisa khel raha tha chand chhup jata tha nikal aata tha karta tha ye tamasha chand apne bachche ko bheja hai ghar mein baitha hoga chand ye bhi ek din ban jaega achchha gol bada sa chand achchha aman kal kyon tum ne mujh ko kaha tha mera chand