mujh sa tanha nahin duniya mein khudaya koi main na apna hun kisi ka bhi na mera koi kya mila mujh ko chahal-sala rifaqat kar ke ab kisi par na kare aah bharosa koi tabish-e-hijr ne dil ki ye bana di surat jaise ho dhup mein tapta hua sahra koi aatish-e-shauq ki uthi hain kuchh aisi lahren jis tarah aag ka bahta hua dariya koi ek wo din tha ki roton ko hansa deta tha ab to rota hun jo dekha koi hansta koi main hun nairangi-e-alam ki mujassam taswir mujh se behtar nahin ibrat ka tamasha koi main wo qatra hun samundar se jo mahrum raha mujh ko kya mauj mein aaya kare dariya koi be-rukhi aah ye kaisi hai ki is aalam mein mile lakhon na hua ek bhi apna koi