kasak

khamushi tut chuki thi
chadhti umr ka nasha

ab bolne laga tha
soya nahin tha abhi kam-sini ka alhad-pan

us ke paikar ke khutut
nafis tabiat

narm lahja
bolti aankhen

lambe ghane mulaem baal
us ke kandhon pe yun bikharte jaise

barasti ghataen
faza mein apna jadu jagane ko be-qarar hon

mere aur us ke
honton ka gulabi-pan ab nikharne laga tha

hamari aankhon ki sargoshiyan
log samajhne lage the

wo rihaish-gah jahan hum aakhiri bar mile the
wahan azim imarat khadi hai

main ab bhi wahan se guzarta hun
to yun guman hota hai jaise

shamim-e-zulf hai ab tak basi fazaon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close