chand pahle bhi khubsurat tha aaj bhi chand khubsurat hai log kahte hain chand ke andar har taraf hai muhib virani har qadam par bhadakte jwala-mukhi har taraf ret ki farawani ek bhi chiz faede ki nahin kya hawa kya anaj kya pani chand baatin mein bad-numa hi sahi zahiran ek hasin murat hai chand pahle bhi khubsurat tha aaj bhi chand khubsurat hai log kahte hain chand ke andar har taraf ek ghana andhera hai ye to suraj se raushni le kar surat-e-aina chamakta hai duniya walon ke waste lekin ab bhi ye ek hasin jalwa hai chand ki pahle bhi zarurat thi aaj bhi chand ki zarurat hai chand pahle bhi khubsurat tha aaj bhi chand khubsurat hai