meri jaan ho ki mera badan tera jalwa-gah hai ai watan teri khak un ka khamir hai mere khun mein ye jhalak teri meri nabz mein ye chipak teri meri sans teri safir hai teri khak jag ka khulasa hai tera husn ek tamasha hai teri phaili god ki bagh hai teri khak-e-pak zalil hai to ghulamiyon ki dalil hai teri paud sharm ka dagh hai tujhe ma-siwa se gira diya hamein ma-siwa ne mita diya hue tafraqon se tamam hum tujhe jab talak ki bhula rakha hamein waqt ne bhi mita rakha bane ghar mein apne ghulam hum tere khun hain ye phate phate tere put hain ye bate bate tere dil jigar hain ye be-wafa tera kuchh lahu hi safed hai ki ajab tarah ka ye bhed hai nahin bhai bhai se aashna nahin ghair ka hamein kuchh gila ki ghulamiyon ka ye phal mila hamein tafarqe ke junun se tere dudh mein meri pyari man nahin dard ki koi bijliyan ki mila de khun ko khun se hamein bhaiyon se ghurur hain tere jahl-o-wahm mein chur hain ki jo kaam hain so khata ke hain kahin zat-pat ki lag hai kahin din-dharm ki aag hai kahin bair muft khuda ke hain jinhen pit hai unhen jit hai yahi jag mein jit ki rit hai tere put apnon se ghair hain hamein ghairiyat ye mitani hai hamein jit aap pe pani hai usi ghar ke ghair se ghair hain tere put bhai hain bhai hun tere dil se sab hi fidai rahun ki tu aap apni misal ho tere zor ki yahi dhak ho ki jahan burai se pak ho tera ilm haq ka kamal ho