kat lena har kathin manzil ka kuchh mushkil nahin ek zara insan mein chalne ki himmat chahiye mil nahin sakti nikammon ko zamane mein murad kaamyabi ki jo khwahish ho to mehnat chahiye khak mehnat ho sakegi ho na jab hathon mein zor tandurusti ke liye warzish ki aadat chahiye khush-mizaji sa zamane mein koi jadu nahin har koi tahsin kahe aisi tabiat chahiye hans ke milna ram kar lena har har insan ko sab se mitha bolne ki tum ko aadat chahiye ek hi allah ke bande hain sab chhote bade apne ham-jinson se duniya mein mohabbat chahiye hai burai hi burai kaam kal par chhodna aaj sab kuchh kar ke utho gar faraghat chahiye jo buron ke pas baithega bura ho jaega nek hone ke liye nekon ki sohbat chahiye sath wale dekhna tum se na badh jaen kahin josh aisa chahiye aisi hamiyyat chahiye hukmaran ho koi apna ho ya begana di khuda ne jis ko izzat us ki izzat chahiye dekh kar chalna kuchal jae na chyunti rah mein aadmi ko be-zabanon se bhi ulfat chahiye hai isi mein bhed izzat ka agar samjhe koi chhote bachchon ko buzurgon ki itaat chahiye ilm kahte hain jise sab se badi daulat hai ye dhund lo is ko agar duniya mein izzat chahiye sab bura kahte hain ladne ko buri aadat hai ye sath ke ladke jo hon un se rifaqat chahiye hon jamaat mein shararat karne wale bhi agar dur ki un se faqat sahab salamat chahiye dekhna aapas mein phir nafrat na ho jae kahin is qadar had se ziyaada bhi na millat chahiye bap-dada ki badai pe na itrana kabhi aadmi ko apne kaamon ki sharafat chahiye gar kitaben ho gain maili to kya padhne ka lutf kaam ki chizen hain jo un ki hifazat chahiye