khel khilaune pahle kya the nam suno tum bachcho kuchh ke chhillam-chhu aur aankh-micholi gilli danda kancha goli andha bhainsa chidiya kanta pichhe dekha koda khaya lattu chakai aur tar pahiya gidi kaudi dhul dhamaka kushti kabaddi gend aur balla chaar taraf tha ye ballu balla gudiya rabad ki pahne sadi chabi se wo chalti gadi nachta bhaalu kudta bandar bin ki lai par jhumta ajgar khel khilaune ye the purane koi bachcha in ko na jaane sab out of date hue hain in ke sab kam rate hue hain in ka zamana khatm hua ab daur purana khatm hua ab wideo game ab chhaya ghar ghar khel yahi hai ek taza-tar is pe fida hain bachche sare lag gae khel ab sare kinare