hum ne socha ab shikasta ghar muqaffal nahin ho sakte kiwadon ke baghair achchhe kiwad achchhi imarat ke baghair hum ne kuchh kali tijarat se kamai ki udhar kuchh jangalon ke chor apne yar the lakdi kharidi aur kiwadon aur kadiyon mein ghadi naqshe banae aur diwaren chunin hum ne chhaten dalin nai tamir ko har rang ki har art ki dhaj di phir apni soch aur ehsas ki raana nazar-afroz taswiron se kamron ko saja kar aaine ke samne aae aur ek fankar ki nakhwat se baalon ko bikhera aur chehre ko banawat di yahi chehra hamare sath cigarette phunkta sadkon pe phirta hotelon mein chae pita tha zamane bhar ki gappen hankta tha lekin us sach ki sada us mein muqaffal thi jo us ke ahd ka sach tha wo gunga tha kiwadon ki tarah apne makan mein apni taswir ki surat hum muqaffal the aur ab jab shahr mein badhte dhamakon ne makan larza diya hai tod dale hain kiwad aur maskh kar dali hain taswiren hamein ye dukh hai hum khud mein muqaffal kyon hue the jabr ki badhti hui miad mein sabr ki shafqat bhari budhi duaen kyon nahin hum ne khud par kyon khala ke fasle lambe kiye sach ki khamoshi ke mujrim kyon bane chup gawara kyon hui baat gunge ka ishaara kyon hui hum agar lab kholte kuchh dusre bhi bolte kuchh dusre bhi bolte