gharon mein rahiye waba badan se nikal ke aankhon tak aa gai hai hua ke tewar badal gae hain parinde pedon se dar gae hain hazaron insan mar gae hain namaz-e-juma ka sara manzar badal gaya hai tawaf-e-kaba bhi ruk gaya hai aur aisa lagta hai ye zamin ab ke apni hujjat tamam karne mein lag gai hai mere azizo ab aise mausam mein is waba ka ilaj wo hai jo mere aaqa ne aaj se chaudah sadiyon pahle bata diya tha ki jo jahan hai wahin pe thahre sau yaad rakhiye gharon mein rahiye qayam kije ki aisa karne se ain mumkin hai aap lakhon hazaron jaanen bacha gae hun