bachpan mein jab main sham ko gadi ki khidki se jhank kar dekhta to muskuraate dudhiya safed chand ko apne baghal mein pata mano mujh se daud laga raha hai koi bhi sadak koi bhi mod kisi bhi samt kisi bhi or main jahan bhi jaun mujh se qadam se qadam mila raha hai par jaane kyon ye mujh se jitne ke liye nahin daudta ki main jab rukun ye rukta hai main jab chalun ya chalta hai gadi raftar pakde chand bhi raftar pakadta hai gadi red light par ruke chand bhi rukta hai ab bada ho raha hun to zindagi se daud laga raha hun zindagi sang-dil hai main aage rahun ya pichhe zindagi nahin rukti hai mujhe zindagi se daud nahin lagani chand nikal aaya hai to gadi bhi nikalo mujhe chand se daud lagani hai