suraj ke dam-qadam se raushan jahan hai sara hai is ki raushni se dilkash har ek nazzara suraj agar na hota kuchh bhi yahan na hota sabze ka phul phal ka nam-o-nishan na hota suraj ki raushni se har chiz khushnuma hai go waqt ka hai khaliq paband waqt ka hai dilkash hai chand kaisa har ek ko bhane wala hans hans ke aasman se dil ko lubhane wala phulon ko aur phalon ko deta hai khushnuma rang kaliyon mein pattiyon mein bharta hai nit naya rang jis rah par chalaya khaliq ne chal raha hai paband hukm ka hai paband waqt ka hai wo dil-fareb tare raushan hai raat jin se sharminda jin se moti hire hain mat jin se malum hai ye kis ko kab se chamak rahe hain in mein damak wahi hai jis roz se bane hain in mein har ek sitara chhota hai ya bada hai dekho jo ghaur se tum paband waqt ka hai