fakhr-e-watan hain donon aur donon muqtadar hain hain phul ek chaman ke ek nakhl ke samar hain ai qaum tere dukh ke donon hi chaaragar hain donon jigar jigar hain lekin digar digar hain aapas ke tafraqon se hain aah khar donon aghyar ki nazar mein hain be-waqar donon mil kar chalo ki aakhir donon ho bhai bhai bhai se kya ladai bhai se kya burai kab tak ye khana-jangi kab tak ye khud-sitai do bhaiyon ko hargiz zeba nahin judai mil kar gale nikalo dil ka ghubar donon is khak ke ho putle payan-e-kar donon rashk-e-jinan banao hindostan ko mil kar khun-e-jigar se sincho is gulistan ko mil kar lahrao aasman par qaumi nishan ko mil kar do aab-e-jaan-nisari nok-e-sinan ko mil kar