shafaq ke rang mein hai qatl-e-aftab ka rang ufuq ke dil mein hai khanjar lahu-luhan hai sham safed shisha-e-nur aur siyah barish-e-sang zamin se ta-ba-falak hai buland raat ka nam yaqin ka zikr hi kya hai ki ab guman bhi nahin maqam-e-dard nahin manzil-e-fughan bhi nahin wo be-hisi hai ki jo qabil-e-bayan bhi nahin koi tarang hi baqi rahi na koi umang jabin-e-shauq nahin sang-e-astan bhi nahin raqib jit gae khatm ho chuki hai jang dilon mein shola-e-gham bujh gaya hai kya kije koi hasin nahin kis se ab wafa kije siwae is ke ki qatil hi ko dua dije magar ye jang nahin wo jo khatm ho jae ek intiha hai faqat husn-e-ibtida ke liye bichhe hain khar ki guzrenge qafile gul ke khamoshi mohr-ba-lab hai kisi sada ke liye udasiyan hain ye sab naghma-o-nawa ke liye wo pahna shama ne phir khun-e-aftab ka taj sitare le ke uthe nur-e-aftab ke jam palak palak pe firozan hain aansuon ke charagh lawen lachakti hain ya bijliyan chamakti hain tamam pairahan-e-shab mein bhar gae hain sharar hazar lab se zamin kah rahi hai qissa-e-dard hazar gosh-e-junun sun rahe hain afsana chatak rahi hain kahin tirgi ki diwaren lachak rahi hain kahin shakh-e-gul ki talwaren sanak rahi hai kahin dasht-e-sar-kashi mein hawa chahak rahi hai kahin bulbul-e-bahaar-nawa mahak raha hai wafa ke chaman mein dil ka gulab chhalak rahi hai lab o aariz o nazar ki sharab jawan khwabon ke jangal se aa rahi hai nasim nafas mein nikhat-e-paigham-e-inqalab liye khabar hai qafila-e-rang-o-nur niklega sahar ke dosh pe ek taza aaftab liye