dahakte suraj ka surkh chehra lapet kar rakh diya gaya hai khala mein sayyare bikhre bikhre hain jof-e-aflak phat pada hai pahad dhunke hue fazaon mein tairte hain athah sagar kaf-e-dahan se sulagte lawe ugal rahe hain koi mere muntashir anasir ko phir se pahla sa rup de kar kashan kashan le chala hai goya jhulas raha hai badan meri haddiyan pighalne lagi hain aankhon mein dekhne ki sakat salamat hai dekhta hun har ek chehre mein apne chehre ka aks lekin kisi mein pahchan ki jhalak tak nahin hai har ek band mutthi mein purza-ha-e-siyah thame ye sochta hun siyahiyon ko dhulaun kaise mere pas-e-pusht kale auraq tez nazron ki zad mein larzida dam-ba-khud hain main chikh uthta hun meri aawaz mere sine mein ghut rahi hai main hath uthata hun hath shal hain duhai deta hun sunne wala mere siwa koi bhi nahin hai hazaron hamdam karodon ham-shakl hain magar koi bhi nahin hai