qarya qarya basti basti ghum ke main ye dhund raha tha koi aisa bhi to hoga jis ka chehra apna hoga lekin chehron ke jangal mein har chehra ek dhoka paya sachchai ka chehra jhuta pyar ka chehra ek saudai ilm ka chehra khali khali in chhote chehron mein rah kar main to ab ye soch raha hun mera apna chehra shayad jhuta hai begana hai mere apne chehre par ye gham ki ghataen jhuti hain dard ke tufan jhute hain ye sare rishte jhute hain