school band hain sab ab sair ko hai jaana likhna hai ab na padhna bas chhuttiyan manana basta kitab copy sab chhuttiyan manaen bar-e-giran se in ke hum bhi najat paen baste mein jo bandha hai us ko jahan mein dekhen kya kya kahan chhupa hai aao pata lagaen sunte hain kuchh ajab hai duniya ka kar-khana likhna hai ab na padhna bas chhuttiyan manana aao sunen kahani koi nai purani nani sunaen ya phir dadi ki ho zabani ek rakshas bhi aae ho khub khincha-tani aisi ladai ho ki aa jae yaad nani phir khatma mein aa kar dushman ka haar jaana likhna hai ab na padhna bas chhuttiyan manana bas khelne ki khatir ye chhuttiyan mili hain har-su khiladiyon ki kuchh toliyan bani hain lahra rahe hain balle genden uchhal rahi hain footbaal ki bhi teamen maidan mein aa gai hain tagda muqabla hai kuchh kar ke hai dikhana likhna hai ab na padhna bas chhuttiyan manana har samt har dagar par chhutti ka raj qaem aaankhon mein jhilmilate hain sair ke azaem ji chahta hai sadiyon zinda rahen yahan hum qaem rahe ye chhutti daim rahe ye mausam bas soch hi to hai ye mumkin nahin ye mana likhna hai ab na padhna bas chhuttiyan manana