natija sun ke kai log bad-hawas hue khuda ka shukr hai hum imtihan mein pas hue sila mila hai hamein sal bhar ki mehnat ka chamak raha hai sitara hamari qismat ka yahi to waqt mila hai hamein masarrat ka jo fail ho gae wo kis qadar udas hue khuda ka shukr hai hum imtihan mein pas hue wo imtihan mein raaton ko jag kar padhna wo nind aankhon mein chhai hui magar padhna wo aadhi raat se bistar pe ta-sahar padhna zahe-nasib wo lamhat hum ko ras hue khuda ka shukr hai hum imtihan mein pas hue jo khel-kud mein din-raat chur rahte the har ek khel mein shamil zarur rahte the jo subh-o-sham kitabon se dur rahte the jahan mein aaj wahi mubtala-e-yas hue khuda ka shukr hai hum imtihan mein pas hue jinhen tha apni liyaqat pe e'tibar bahut jinhen khud apne qalam par tha ikhtiyar bahut jo apne aap ko samjhe the hoshiyar bahut unhin ke hosh ude aur gum hawas hue khuda ka shukr hai hum imtihan mein pas hue