ek hain apne petu bhai khate hain din raat malai har dam charna kaam hai in ka petu yunhi nam hai in ka nannhi sima ko bahla kar le lete hain biscuit aa kar ro deti hai baby rozi chhinte hain jab us ki toffee rang shararat ek din lai baithe baithe shamat aai kundi mein rakkhi thi mithai ammi ne kamre mein chhupai petu bhai ne jab dekha munh mein jhat pani bhar aaya socha dil mein mal hai achchha hath lage to phir kya kahna barfi laddu baalu-shahi khub maze le le kar khai sham ko jab ammi ne socha dekhen kundi mein hai kya aa kar jab almari dekhi pai kundi bilkul khali chaunk uthin phir ghussa aaya petu sahab ko garmaya hone lagi jab khub pitai tauba ki aur jaan chhudai pitte bhi hain khate bhi hain rote bhi hain gate bhi hain