so gai raat bahut der hui thak ke leti thi kisi rahguzar par kisi kamre kisi virane mein kisi masjid kisi mai-khane mein kisi patthar ke sutun se tik kar kisi diwar ke sine se lagae hue sar so gai raat bahut der hui chand bhi dub gaya tare bad-khwah padosi ki tarah ghaur se dekh rahe hain ki kisi aur padosi ke yahan raushni kaisi hai kya hota hai aao aaise main ne dekhe dekhega koi aao aur mujh ko chura le jao