yahan horn bajaane ki ijazat nahin aur main ne tamanna ka bharam khol diya hai ki samundar ki hawa sine se takrae to parda na rahe us ki mahak sar pe kafan bandh ke nikli hai har ek raste har mod pe aawaz lagati hai magar koi nahin rukta basant aai hai sab bhag rahe hain koi aawaz nahin deta koi mud ke nahin dekhta petrol lahu aur hawa dast-o-gareban hain jidhar dekho patangen hi patangen hain zaminon pe utarne ke liye dolti par taulti bal khati hui subah ko katti hain magar sham ko sadkon pe utarti hain to wo kaun hai jo aankhon ke sae se gurezan hain magar subh hi subh chupke se sau sidhiyan chadh jata hai thakta hi nahin aur nai aag dahakti hai nae range hue kaghazon se hashr chamak uthta hai sab aurten aur mard jawan ladkiyan aur ladke nai texiyan aur motaren aur rikshe unhen lutne nikle hain basant aai hai aa jao yahan lut machi hai aao dar-o-diwar ko hasrat ki nazar dekhna mat bhulna ek dusre ko raundte ek dusre ko khun mein bhige hue sar pitte aur chikhte chillate sabhi bhag rahe hain koi aawaz nahin deta yahan maon aur bahnon se aur biwiyon se aakhiri boson ki ijazat hai magar horn bajaane ki ijazat nahin
This is a great pyari subah shayari. True lovers of basant ritu shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore aaj ki raat shayari. Please share if you liked this!!!