kal raat kahani pariyon ki baji ne sunai chupke se phir dhire dhire hawa chali aur nindiya aai chupke se halke the kahin gahre the kahin rangon ki wo barish dekhi thi thin jis mein bahut si taswiren hum ne wo numaish dekhi thi phir sab se chhupa ke hum ne bhi taswir banai chupke se fursat jo mili to hum yun hi kuchh waqt bitane baithe the garmi ke dinon mein dholak par ek git sunane baithe the maghrib ki taraf se itne mein badli bhi ghir aai chupke se